Kalams Page

Maalk Ul Mulk La Sharika Lahu

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Hamad

Maalk Ul Mulk La Sharika Lahu


Maalk ul Mulk la sharika lahu
Wahdahu la ilaah illa ho

Shams Tabriz gar khuda talbi
Khushboo khana la ilaah illa ho

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho

Yeh zameen jab na thi yeh jahan jab na tha
Chaand sooraj na thay aasmaan jab na tha

Raaz haq bhi kisi par aya’n jab na tha
Tab na tha kuch yahan tha magar tu hi tu

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho

Pohanchay mairaaj mein arsh tak Mustafa
Jab na maabood banday mein parda raha

Jab malaik ne Hazrat se jhuk kar kaha
Saari makhlooq mein haq numa tu hi tu

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho

Kyun piya Ibn-e-Haydar ne jaam-e-fana
Khaal khinchwaai Tabraiz ne kyun bhala

Daar par charh ke Mansoor ne kya kaha
Sab bana ke khilone raha tu hi tu

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho

La ilaaha teri shan ya Wahdahu
Tu khayal o tajassus tu hi aarzoo

Aankh ki roshni dil ki awaaz tu
Tha bhi tu hai bhi tu hoga bhi tu hi tu

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho

Sana bashar ke liye bashar sana ke liye
Tamaam hamd sazawar hai Khuda ke liye

Ata ke samne ya Rab khata ka zikr hi kya
Tu ata ke liye hai bashar khata ke liye

Allah ho Allah ho Allah ho
Allah ho Allah ho Allah ho