Ma Ke Haider, Baap Ke Zaid, Aur Muhammadؐ Ke Ali
Ma Ke Haider, Baap Ke Zaid, Aur Muhammadؐ Ke Ali
Ma ke Haider, baap ke Zaid, aur Muhammadؐ ke Ali
Teri hasti khamiyah qudrat ka shahkar-e-jali
Main bataun Khanah Ka'bah mein kyun paida hua
Batn-e-madar mein hi tu tauheed ka shaida hua
Tera har lamha raha Shah-e-Rusal ke saaye mein!
Jis tarah khushbu charhey parwan gul ke saaye mein
Saath rakhte the meray aaqa mahazon par tujhe
Kyun na manoun quwat-e-bazu e Paighambar tujhe
Naaz har maidan ko tha teri adaaye harb par
Seenkrhon sajde fida talwar ki ik zarb par
Ma'rifat ka ghar tera dil, maskan-e-hikmat dimaagh
Haath mein Islam ke, teri baseerat ke chiraagh
Ek manzil ke musafir, sufioun ke silsile
Sab juda raston pe nikle sab hi tujh se ja mile
Teri chaukhat par zamane bhar ke an daata girain
Tu hai woh gehra samandar jis mein sab darya girain
Tere qaatil ki adawat apne haathoun mar gayi
Hashr tak zinda tujhe teri shahadat kar gayi