Kalams Page

Lutf Un Ka Aam Ho Hi Jae Ga

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Lutf Un Ka Aam Ho Hi Jae Ga


Lutf un ka aam ho hi jae ga
Shaad har nakaam ho hi jae ga

Jaan de do waada-e-deedaar par
Naqd apna daam ho hi jae ga

Shaad hai firdous yaani aik din
Qismet-e-khuddam ho hi jae ga

Yaad reh jae gi ye bebasakiaan
Nafs tu tu raam ho hi jae ga

Be-nishanon ka nishaan mitta nahi
Mitte mitte naam ho hi jae ga

Yaad-e-gesu zikr-e-haq hai aah kar
Dil mein paida laam ho hi jae ga

Aik din aawaaz badlenge ye saaz
Chehcha ha kehraam ho hi jae ga

Saailo! daman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jae ga

!Yaad abru kar ke tarpo balbalo
Tukre tukre daam ho hi jae ga

Muflaso! un ki gali mein ja paro
Bagh-e-khulad ikraam ho hi jae ga

Gar yuhunhi rehmat ki taweelein rahein
Madh har ilzaam ho hi jae ga

Baadah khaari ka samaa bandhne to do
Shaikh durd aasham ho hi jae ga

Gham to un ko bhul kar lipta hai yun
Jaise apna kaam ho hi jae ga

Mitt! ke gar yuhunhi raha qarz-e-hayaat
Jaan ka neelaam ho hi jae ga

Aaqilo! un ki nazar seedhi rahe
Buron ka bhi kaam ho hi jae ga

Ab to laai hai shafaat afu par
Barhte barhte aam ho hi jae ga

Ae Raza! har kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi aaraam ho hi jae ga