Kalams Page

Lutae Sajde Na Kyun Aasmaan Madine Mein

Poet: Akhtar Sherani | Book: Unknown | Type: Naat

Lutae Sajde Na Kyun Aasmaan Madine Mein


Lutae sajde na kyun aasmaan Madine mein
Rasool-e-Pak ka hai aastaan Madine mein

Qadam barrhae chalo rahrowan-e-manzil shauq
Hai abr-e-rahmat-e-Haq gulfashaan Madine mein

Dar-e-Rasool ke zarroon ki gar talaash nahi
To kis ko dhondhti hai kahkashaan Madine mein

Bahisht cheez hi kya hai ke aik sajde mein
Humein to mil gaye dono jahan Madine mein

Qadam uthae adab se zara naseem-e-sehar
Hain mehve khwab shah-e-do jahan Madine mein

Madine jate hain peeri mein log sab Akhtar
Maza hai kaat do umr-e-jawaan Madine mein