Lamhah Lamhah Shumaar Karte Hain
Lamhah Lamhah Shumaar Karte Hain
Lamhah lamhah shumaar karte hain
Aap ka intezaar karte hain
Un pe raazi Khuda ki zaat hui
Mustafa se jo pyaar karte hain
Un ki ulfat mein khush naseeb hain woh
Jaan o dil jo nisaar karte hain
Un ke dar ka faqeer hoon, jin ki
Chaakri taajdaar karte hain
Main khata baar baar karta hoon
Woh karam baar baar karte hain
Midhat-e-Mustafa hai saarmaya
Hum yehi kaarobaar karte hain
Baat un ki sada karenge hum
Log baatein hazaar karte hain
Un ke gham mein Zahoori chain mile
Chaara gar beqaraar karte hain