Laga Hai Rooh Ko Har Waqt Ek Ghan
Laga Hai Rooh Ko Har Waqt Ek Ghan
Laga hai rooh ko har waqt ek ghan
Tajassus mein hain paaye justuju sun
Tammul bartaraf, yeh hai bara pun
Naseema! jaanib-e-Bat’ha guzar kun
Z ahwaalam Muhammadؐ ra khabar kun
Teri hai zaat woh zaat-e-mumajjad
Ke ummat ko hai jis par naaz be-had
Tera sikka rawaan, teri hi masnad
Tohi Sultan-e-Aalam ya Muhammadؐ
Z rooye lutf soo-e-man nazar kun
Rahen altaaf har dam ya Muhammadؐ
Tale sar se shab-e-gham ya Muhammadؐ
Tere hain Ummati hum ya Muhammadؐ
Tohi Sultan-e-Aalam ya Muhammadؐ
Z rooye lutf soo-e-man nazar kun
Jigar mein tes hai, sar mein hai sauda
Bana hoon main to dard-e-dil saraapa
Gham-e-furqat mein betaabi ne maara
Bibaraaein jaan-e-mushtaaqam dar aanjaa
Fidaaye roza-e-Khairul Basharؐ kun
Madinay ke liye dil hai mushawwish
Nazar mein hai waheen ka husn-e-dilkash
Naseerؔ aane lage hain pae ba pae ghash
Musharraf garcha shud Jaamiؒ z lutafash
Khudaaya een karam baar-e-digar kun