Lab Par Naat-e-Paak Ka Naghmaa Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Lab Par Naat-e-Paak Ka Naghmaa Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Lab par naat-e-paak ka naghmaa kal bhi tha aur aaj bhi hai
Mere Nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai
Past woh kaise ho sakta hai jis ko Haq ne buland kiya
Dono jahan mein un ka charcha kal bhi tha aur aaj bhi hai
Aur kisi jaanib kyun jaayein aur kisi ko kyun dekhein
Apna sab kuch gunbad-e-khazra kal bhi tha aur aaj bhi hai
Fikr nahi hai hum ko kuch bhi dukh ki dhoop kari to kya
Hum par un ke fazl ka saaya kal bhi tha aur aaj bhi hai
Un ke karam ki khushboo se hai kaisa meri qismat ka gulaab
Shaakh-e-chaman par mehka mehka kal bhi tha aur aaj bhi hai
Tay karte hain naam se un ke dasht-e-hayat ki har manzil
Raah-e-zeest mein un ka sahaara kal bhi tha aur aaj bhi hai
Bata do gustaakh-e-Nabi ko gairat-e-Muslim zinda hai
Un par mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai
Jis ke faiz se banjar seenon ne shaadabi paayi hai
Mauj mein woh rehmat ka darya kal bhi tha aur aaj bhi hai
Zaad-e-safar ki fikr mein gum tha ishq ne mujh ko batla ya
Dil se Madine ka ik rasta kal bhi tha aur aaj bhi hai
Jin aankhon se Tayyiba dekha woh aankhein be-taab hain phir
Un aankhon mein ek taqaaza kal bhi tha aur aaj bhi hai
Un ke dar se sab ho aaye ja na saka to ek Sabih
Yeh ke ek tasweer-e-tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai