Kalams Page

Kya Theek Ho Rukh-e-nabvi Par Misal-e-gul

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Kya Theek Ho Rukh-e-nabvi Par Misal-e-gul


Kya theek ho rukh-e-nabvi par misal-e-gul
Paamaal jalwa-e-kaf-e-paa hai jamaal-e-gul

Jannat hai un ke jalwa se joya-e-rang o boo
Ae gul hamare gul se hai gul ko sawaal-e-gul

Un ke qadam se sil'a-e-ghaali hui jinaan
Wallah mere gul se hai jaah o jalaal-e-gul

Sunta hoon ishq-e-shah mein dil ho ga khoon fishan
Yarab ye mujda sach ho mubarak ho f aal-e-gul

Bulbul haram ko chal gham-e-faani se faida
Kab tak kahegi haaye wo ghanj o dalaal-e-gul

Ghamgeen hai shauq-e-ghazah-e-khaak-e-madina mein
Shabnam se dhul sake gi na gard-e-malaal-e-gul

Bulbul ye kya kaha main kahan fasl-e-gul kahan
Umeed rakh ke aam hai jood o nawal-e-gul

Bulbul! ghira hai abr wala mujda ho ke ab
Gir'ti hai aashiyana pe barq-e-jamaal-e-gul

Yarab hara bhara rahe daagh-e-jigar ka bagh
Har mah mah-e-bahar ho har saal saal-e-gul

Rang-e-musha se kar ke khajil yaad-e-shah mein
Kheenchha hai hum ne kaanton pe itr-e-jamaal-e-gul

Main yaad-e-shah mein rowoon anaadil karein hujum
Har ashk laala faam pe ho ehtimaal-e-gul

Hain aks-e-chehra se lab-e-gulgoon mein surkhiyan
Dooba hai badr-e-gul se shafaq mein hilaal-e-gul

Naat-e-huzoor mein mutarannum hai andaleeb
Shaakhon ke jhoomne se ayaan wajd o haal-e-gul

Bulbul gul-e-madina hamesha bahar hai
Do din ki hai bahar fanaa hai ma'al-e-gul

Shekhen idhar nisaar, ghani o ali udhar
Ghuncha hai bulbulon ka yameen o shimaal-e-gul

Chahe khuda to payenge ishq-e-nabi mein khuld
Nikli hai nama-e-dil-e-purkhon mein f aal-e-gul

Kar us ki yaad jis se mile chain andaleeb
Dekha nahin ke khaar-e-alam hai khayal-e-gul

Dekha tha khwab-e-khaar-e-haram andaleeb ne
Khatka kya hai aankh mein shab bhar khayal-e-gul

Un do ka sadqa jin ko kaha mere phool hain
Kije raza ko hashr mein khandaa misal-e-gul