Kya Mehakty Hain Mehakne Walay
Kya Mehakty Hain Mehakne Walay
Kya mehakty hain mehakne walay
Boo pe chalty hain bhatakne walay
Jagmaga uthi meri gor ki khaak
Tere qurbaan chamakne walay
Mah-e-be daagh ke sadqay jaon
Yun damakte hain damakne walay
Arsh tak pheli hai taab-e-aariz
Kya jhalakte hain jhalakne walay
Gul-e-Tayba ki sana gaate hain
Nakhle tooba pe chahakne walay
Aasiyo! Thaam lo daaman un ka
Woh nahi haath jhatakne walay
Abr-e-rahmat ke salaami rehna
Phalty hain poday lachhakne walay
Aray yeh jalwa gah-e-janaan hai
Kuch adab bhi hai pharakne walay
Sunnio! Un se madad maangay jao
Pade bakte rahen bakne walay
Shama yaad-e-rukh-e-janaan na bujhe
Khaak ho jaen bharakne walay
Maut kehti hai ke jalwa hai qareeb
Ik zara so lein bilakne walay
Koi un tez roon se keh do
Kis ke ho kar rahen thakne walay
Dil sulagta hi bhala hai ay zabt
Bujh bhi jaate hain dahakne walay
Hum bhi kumhilane se ghaafil the kabhi
Kya hansa ghnche chatakne walay
Nakhl se chhat ke yeh kya haal hua
Aah o patte khadakne walay
Jab gire munh soo-e-maikhana tha
Hosh mein hain yeh behakne walay
Dekh o zakhm-e-dil aape ko sambhaal
Phoot behte hain tapakne walay
Mae kahan aur kahan mein zahid
Yun bhi to chakte hain chakne walay
Kaf-e-daryaye karam mein hain Raza
Paanch fawware chalakne walay