Kalams Page

Kya Khabar Kya Saza Mujko Milti ' Mere Aaqa ﷺ Ne Izzat Bachali

Poet: Professor Iqbal Azeem | Book: Zaboor-e-Haram | Type: Naat

Kya Khabar Kya Saza Mujko Milti ' Mere Aaqa ﷺ Ne Izzat Bachali


Kya khabar kya saza mujko milti ' mere aaqa ﷺ ne izzat bachali
Fard-e-asiyan mari mujh se le kar ' kali kamli mein apni chhupa li

Woh ata par ata kar ne wale aur hum bhi nahi tallne wale
Jaisi deodhi hai waise bhikari ' jaisa data hai waise sawali

Main gada hoon magar kis ke dar ka? Woh jo sultan-e-kun o makaan hain
Yeh ghulami bari mastand hai ' mere sar par hai taj-e-bilali

Meri umr-e-rawaan bas thehar ja ' ab safar ki zarurat nahin hai
Unke qadmon mein meri jabeen hai aur haathon mein roza ke jaali

Is ko kehte hain banda nawazi ' naam is ka hai rehmat mizaji
Doston par bhi chashm karam hai ' dushmanon se bhi sheerin maqali

Main madine se kya aagaya hoon ' zindagi jaise bujh si gayi hai
Ghar ke andar fiza soni soni ' ghar ke bahar samaan khaali khaali

Koi baad-e-mukhalif se keh de ' ab meri roshni mujh se cheene
Maine aankhon ki shamain bujha kar ' dil mein Tayba ki mashal jalali

Main faqat naam lewa hoon unka ' unki tauseef mein kya karunga
Main na iqbal na khusro ' na saadi ' main qudsi na jami' na hali