Kalams Page

Kya Khaak Wo Dringe Lehad Ke Hisaab Se

Poet: Mohsin Naqvi | Book: Haq Ailya | Type: Manqabat

Kya Khaak Wo Dringe Lehad Ke Hisaab Se


Kya khaak wo dringe lehad ke hisaab se
Mansoob hain jo khaak-e-dar-e-Botrab se

Mushkil kusha hain paas, farishto adab karo
Mushkil main daal doon ga sawal o jawab se

Khyber mein dekhna ye hai Jibraeel ya ajal?
Lipta hua hai kaun Ali ki riqab se

Jo "Ya Ali Madad" ko gunah keh ke chadh gaye
Wo be-khabar hain mere gunah ke sawaab se

Pehlay ye zid thi khwab mein dekhenge khald ko
Ab zid ye hai ke khald mein jagenge khwab se

Mohsin behtar Mola Ali(a.s) ki Wala se hai
Maine yehi parha hai Khuda ki kitaab hai