Kya Hi Zauk Afza Shafa'at Hai Tumhari Wah Wah
Kya Hi Zauk Afza Shafa'at Hai Tumhari Wah Wah
Kya hi zauk afza shafa'at hai tumhari wah wah
Qarz leti hai gunah parheiz gari wah wah
Khamah-e-qudrat ka husn-e-dastkari wah wah
Kya hi tasveer apne pyare ki sanwari wah wah
Ashk shab bhar intezar-e-afw-e-ummat mein bahein
Mein fida chaand aur yun akhtar shumari wah wah
Ungliyan hain faiz par toote hain pyaase jhoom kar
Nadiyan Punjab-e-rehmat ki hain jari wah wah
Noor ki khairat lene daurte hain mehr o maah
Uthti hai kis shaan se gard-e-sawaari wah wah
Neem jalwe ki na taab aaye qamar saan to sahi
Mehr aur in talwon ki aainah daari wah wah
Nafs yeh kya zulm hai jab dekho taza jurm hai
Natawan ke sar par itna bojh bhaari wah wah
Mujrimon ko dhoondhti phirti hai rahmat ki nigah
Taal-e-bargahshta teri sazgari wah wah
Arz beegi hai shafa'at afw ki sarkar mein
Chhnt rahi hai mujrimoon ki fard saari wah wah
Kya Madina se saba aayi ke phoolon mein hai aaj
Kuch nai boo bheeni bheeni pyari pyari wah wah
Khud rahe parde mein aur aainah aks-e-khaas ka
Bheij kar anjanoon se ki rah daari wah wah
Is taraf rauza ka noor us samt minbar ki bahar
Beech mein jannat ki pyari pyari kiyari wah wah
Sadka is in'aam ke qurban is ikram ke
Ho rahi hai dono aalam mein tumhari "wah wah"
Parrah-e-dil bhi na nikla dil se tohfe mein Raza
Un sagan-e-ko se itni jaan pyari wah wah