Koi To Hai Jo Nizaam e Hasti Chala Raha Hai
Koi To Hai Jo Nizaam-e-hasti Chala Raha Hai
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Dikhai bhi jo na de nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Nazar bhi rakhe, sama’aten bhi
Woh jaan leta hai niyaten bhi
Jo khana-e-lashe'oor mein jagmaga raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Talash us ko na kar buton mein
Woh hai badalti hui rutoon mein
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Dikhai bhi jo na de nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai, wohi Khuda hai
Allahumma salli 'ala Muhammad
Wa 'ala alihi wa sahbihi wa sallim
Allahumma salli 'ala Muhammad
Wa 'ala alihi wa sahbihi wa sallim