Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai
Koi Saleeqa Hai Aarzu Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai
Koi saleeqa hai aarzu ka na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai aqa (ﷺ) ke baat ab tak bani hui hai
Kisi ka ehsan kyun uthain kisi ko halaat kyun batain
Tumheen se mangain ge tum hi do ge tumhare dar se hi loo lagi hai
Tajalliyon ke kafeel tum ho murad-e-qalb-e-Khalil (A.S.) tum ho
Khuda ki roshan daleel tum ho ho yeh sab tumhari hi roshni hai
Tum he ho rooh-e-rawan-e-hasti sukoon nazar ka dilon ki masti
Hai do jahan ki bahar tum se tumheen se phoolon mein tazgi hai
Shaur o fikr d nazar ke daaway hadd-e-ta'ayyun se barh na paye
Na choo sake un bulandiyon ko jahan maqam Muhammadi (ﷺ) hai
Nazar nazar rehmat-e-sarapa ada ada gairat-e-Masihah
Zameer murda bhi jee uthe hain jidhar tumhari nazar utthi hai
Amal ki mere asaas kya hai bijuz nidamat ke paas kya hai
Rahe salamat tumhari nisbat mera to ek aasra yahi hai
Ata kiya mujhko dard-e-ulfat kahan thi yeh pur khata ki kismat
Main is karam ke kahan tha qabil huzoor (ﷺ) ki banda parwari hai
Inhi ke dar se khuda mila hai inhin se iska pata chala hai
Woh aaina jo khuda numa hai jamal-e-husn-e-huzoor (ﷺ) hi hai
Basheer kahiye nazeer kahiye inhein saraaj-e-muneer kahiye
Jo sar basar hai kalam-e-Rabbi woh mere aqa (ﷺ) ki zindagi hai
Sanaye mehboob-e-Haq ke qurban sarwar-e-jaan ka yahi hai unwan
Har ek masti fana bid amaan yeh kaif hi kaif-e-sarmadi hai
Hum apne aamaal jaante hain hum apni nisbat se kuch nahi hain
Tumhare dar ki azeem nisbat mataa-e-azmat bani hui hai
Yahi hai Khalid (Q) asaas-e-rehmat yahi hai Khalid (Q) bina-e-azmat
Nabi (ﷺ) ka irfan zindagi hai nabi ka irfan bandagi hai