Kalams Page

Koi Mehboob E Kibriya Na Hua

Poet: Muhammad Azam Chishti | Book: Unknown | Type: Naat

Koi Mehboob E Kibriya Na Hua


Koi Mehboob e Kibriya na hua
Koi tujh sa tere siwa na hua

Haq ne kab teri baat taali hai
Kaun se din tera kaha na hua

Hum pe woh kitna meherbaan ho ga
Jis se dushman ka dil bura na hua

Tujh se kis kis ne bewafai na ki
Tujh se kis shakhs ka bhala na hua

Hasratein ur gaiin dhuwa ban kar
Lab kushai ka hosla na hua

Thi yahi ghayat e hayat Azam
Phir bhi medhat ka haq ada na hua