Koi Gul Baqi Rahe Ga, Na Chaman Reh Jaye Ga
Koi Gul Baqi Rahe Ga, Na Chaman Reh Jaye Ga
Koi gul baqi rahe ga, na chaman reh jaye ga
Par Rasool Allah ka deen-e-husan reh jaye ga
Naam shahane jahan mitt jayeinge lekin yahan
Hashar tak nam-o-nishan-e-panjtan reh jaye ga
Jo parhe ga sahib-e-lolak ke ooper darood
Aag se mehfooz us ka tan badan reh jaye ga
Atlas o kamkhaab ki poshak par naazaan na ho
Is tan-e-bejaan par khaaki kafan reh jaye ga
Ham safeer o baagh mein hai koi dam ka chehcha
Bulbulain udd jayein gi sona chaman reh jaye ga
Sab fana ho jayein ge kaafi ko lekin hashartak
Naat-e-hazrat ka zubanon par sukhan reh jaye ga