Kis Se Maangein, Kahaan Jaayein, Kis Se Kahein Aur Duniya Mein Haajat Rawa Kaun Hai
Kis Se Maangein, Kahaan Jaayein, Kis Se Kahein Aur Duniya Mein Haajat Rawa Kaun Hai
Kis se maangein, kahaan jaayein, kis se kahein aur duniya mein haajat rawa kaun hai
Sab ka daata hai tu, sab ko deta hai tu, tere bandon ka tere siwa kaun hai
Kaun maqbool hai, kaun mardood hai, be khabar! kya khabar tujh ko, kya kaun hai
Jab tulen ge amal sab ke mezaan par, tab khule ga ke khota khara kaun hai
Kaun sunta hai faryaad mazloom ki, kis ke haathon mein kunji hai maqsoom ki
Rizq par kis ke palte hain shaah o gada, masnad aaraaye bazm-e-ata kaun hai
Auliya tere mohtaaj ae rabb-e-kul! tere bande hain sab ambiyaa o rusul
In ki izzat ka ba'is hai nisbat teri, in ki pehchaan tere siwa kaun hai
Mera maalik meri sun raha hai fughan, jaanta hai woh khamoshiyon ki zabaan
Ab meri raah mein koi haail na ho naama bar kia bala hai, saba kaun hai
Ibtida bhi wohi, intehaa bhi wohi, naakhuda bhi wohi khuda bhi wohi
Jo hai saare jahanon mein jalwa numa, us ahad ke siwa doosra kaun hai
Woh haqaiq hon ashya ke ya khushk o tar o fehm o idraak ki zad mein hain sab, magar
Ma siwa ek us zaat-e-berang ke, fehm o idraak se mawra kaun hai
Ambiyaa, auliya, ahl-e-bait Nabi, tabieen o sahaaba pe jab aa bani
Gir ke sajde mein sab ne yehi arz ki, tu nahi hai to mushkil kusha kaun hai
Ahl-e-fikr o nazar jaante hain tujhe kuch na hone pe bhi maante hain tujhe
Ae Naseer! is ko tu fazl-e-baari samajh warna teri taraf dekhta kaun hai