Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kya Hai
Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kya Hai
Kis ke jalwe ki jhalak hai ye ujala kya hai
Har taraf deedah-e-hairat zada takta kya hai
Maang man manti munh mangi muraden le ga
Na yahan "na" hai na mangta se ye kehna "kya hai"
Pand karvi lage nasih se tursh ho ai nafs
Zahra-e-isyàn mein sitam gar tujhe meetha kya hai
Hum hain un ke woh hain tere to hue hum tere
Is se barh kar teri samt aur waseela kya hai
Un ki ummat mein banaya unhein rahmat bheja
Yun naa farma ke tera rahm mein dawa kya hai
Sadaqa pyare ki haya ka ke na le mujh se hisaab
Bakhsh be puche lajae ko lajana kya hai
Zahid un ka mein gunah gaar woh mere shafi
Itni nisbat mujhe kya kam hai tu samjha kya hai
Be basi ho jo mujhe pursish-e-aamaal ke waqt
Dosto! Kya kahun us waqt tamanna kya hai
Kaash faryad meri sun ke ye farmaen huzoor
Haan koi dekho ye kya shor hai ghaugha kya hai
Kon aafat zada hai kis pe bala tooti hai
Kis museebat mein giraftar hai sadma kya hai
Kis se kehta hai ke lillah khabar lije meri
Kyun hai beetaab ye be chaini ka rona kya hai
Is ki be chaini se hai khatir-e-aqdas pe malaal
Be kasi kaisi hai poochho koi guzra kya hai
Yun malaik karein maarozi ke ik mujrim hai
Is se pursish hai bata tu ne kya kya kya hai
Saamne qahr ka hai daftar-e-aamaal hain paish
Dar raha hai ke Khuda hukm sunata kya hai
Aap se karta hai faryad ke ya shah-e-rusul
Banda be kas hai shaha rahm mein waqfa kya hai
Ab koi dum mein giraftar-e-bala hota hoon
Aap aajain to kya khauf hai khutka kya hai
Sun ke ye arz meri bahr-e-karam josh mein aaye
Yun malaik ko ho irshad "theharna kya hai"
Kis ko tum muarad-e-aafaat kiya chahte ho!
Hum bhi to aake zara dekhein tamasha kya hai
Un ki aawaz pe kar uthoon mein besakhta shor
Aur tadap kar ye kahoon ab mujhe parwa kya hai
Lo woh aaya mera haami mera gham khwar-e-umm!
Aa gayi jaan tan bejaan mein ye aana kya hai
Phir mujhe daaman-e-aqdas mein chhupa lein sarwar
Aur farmaen hatto is pe taqaza kya hai
Banda azad shuda hai ye humare dar ka
Kaisa lete ho hisaab is pe tumhara kya hai
Chhod kar mujh ko farishte kahen mahkoom hain hum
Hukm-e-wala ki na tameel ho zahrah kya hai
Ye samaan dekh ke mahshar mein uthe shor ke wah
Chashm e bad door ho kya shan hai rutba kya hai
Sadqay is rahm ke is saya-e-daaman pe nisaar
Apne bande ko museebat se bachaya kya hai
Ai Raza jaan-e-inadil tere nagmon ke nisaar
Bulbul-e-baagh-e-madina tera kehna kya hai