Kis Ke Jalwa Ki Jhalak Hai Yeh Ujala Kya Hai
Kis Ke Jalwa Ki Jhalak Hai Yeh Ujala Kya Hai
kis ke jalwa ki jhalak hai yeh ujala kya hai
har taraf dīdah e hairat zadah takta kya hai
mang man maanti munh maangi muraden le ga
nah yahan "na" hai nah mangta se yeh kehna "kya hai"
pand karwi lage nasih se tursh ho ae nafs
zehr e isyan me sitamgar tujhe meetha kya hai
hum hain un ke woh hain tere to hue hum tere
is se barh kar teri samt aur wasila kya hai
un ki ummat mei banaya unhein rahmat bheja
yoon na farma ke tera rahm mei dawa kya hai
sadqa pyare ki haya ka keh na le mujh se hisaab
bakhsh be puchhe lajaye ko lajana kya hai
zahid un ka mein gunehgar woh mere shafi
itni nisbat mujhe kya kam hai tu samjha kya hai
bebasi ho jo mujhe pursish e aamaal ke waqt
dosto! kya kahoon us waqt tamanna kya hai
kaash faryaad meri sun ke yeh farmaen huzoor
haan koi dekho yeh kya shor hai ghogha kya hai
kaun aafat zadah hai kis pe bala tuti hai
kis museebat mein giraftar hai sadma kya hai
kis se kehta hai ke lillah khabar lije meri
kyun hai betaab yeh bechaini ka rona kya hai
is ki bechaini se hai khatir e aqdas pe malaal
bekasi kaisi hai pucho koi guzra kya hai
yoon malaik karein marooz ke ik mujrim hai
is se pursish hai bata tu ne kya kya kya hai
samna qahr ka hai daftar e aamaal hain paish
dar raha hai ke Khuda hukum sunata kya hai
aap se karta hai faryaad ke ya shah e rusul
banda be kas hai shahaa rahm mein waqfa kya hai
ab koi dam mein giraftar e bala hota hoon
aap aajayein to kya khauf hai khatka kya hai
sun ke yeh arz meri bahr e karam josh mein aaye
yoon malaik ko ho irshad "thahrna kya hai"
kis ko tum morad e aafat kiya chahte ho!
hum bhi to aake zara dekhen tamasha kya hai
un ki aawaz pe kar uthoon mein be sakhta shor
aur tarap kar yeh kahoon ab mujhe parwa kya hai
lo woh aaya mera hami mera gham khwar e umam!
aa gayi jaan tan be jaan mein yeh aana kya hai
phir mujhe daman e aqdas mein chhupa lein sarwar
aur farmaen hato is pe taqaza kya hai
banda aazaad shuda hai yeh humare dar ka
kaisa lete ho hisaab is pe tumhara kya hai
chhod kar mujh ko farishte kahin mahkoom hain hum
hukum e wala ki na tameel ho zahra kya hai
yeh sama dekh ke mahshar mei uthe shor ke wah
chashm e bad door ho kya shaan hai rutba kya hai
sadqay is rahm ke is saaya e daman pe nisaar
apne bande ko museebat se bachaya kya hai
ae Raza jan e anadil tere nagmon ke nisaar
bulbul e bagh e Madinah tera kehna kya hai