Kalams Page

Khula Hai Sabhi Ke Liye Bab-e-rehmat Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali

Poet: Professor Iqbal Azeem | Book: Zaboor-e-Haram | Type: Naat

Khula Hai Sabhi Ke Liye Bab-e-rehmat Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali


khula hai sabhi ke liye bab-e-rehmat wahan koi rutbe mein adna na aali
muraadon se daaman nahi koi khaali, qataarein lagaye khade hain swaali

mein pehle pehal jab madine gaya tha to thi dil ki haalat tarap jane wali
woh darbar sach much mere samne tha abhi tak tasawwur tha jis ka khayaali

jo ek haath se dil sambhaale hue tha to thi dusre haath mein sabz jaali
dua ke liye haath uthte to kaise na yeh haath khaali na yeh haath khaali

jo poocha hai tumne ke mein nazar karne ko kya le gaya tha to tafseel sun lo
naaton ka ek haar, ashkon ke moti, duroodon ka gajra, salaamon ki daali

dhani apni qismat ka hai to wahi hai dayaar-e-nabi (ﷺ) jisne aankhon se dekha
muqaddar hai sacha muqaddar usi ka nigah-e-karam jis pe aaqa ne daali

mein aastan-e-haram ka gada hoon jahan sajde karte hain shayan-aalam
mujhe tajdaaron se kam mat samajhna mera sar hai shayan taaj-e-bilaali

mein to saif sirkaar karto raha hoon magar apni auqaat se baakhabar hoon
mein sirf ek adna sana khwaan hoon unka kahan mein kahan naat-e-iqbal-o-haali