Khuda Ka Zikr Kare Zikr-e-mustafa ﷺ Na Kare
Khuda Ka Zikr Kare Zikr-e-mustafa ﷺ Na Kare
Khuda ka zikr kare zikr-e-Mustafa ﷺ na kare
Hamare munh mein ho aisi zubaan Khuda na kare
Dar-e-Rasool pe, aisa kabhi nahin dekha
Koi sawal kare, aur woh ata na kare
Kaha Khuda ne ke bakhshish ki baat mahshar mein
Mira Habib kare koi doosra na kare
Madina ja ke nikalna na shehar se bahar
Khudanakhuasta ye zindagi wafa na kare
Aseer jis ko bana ke rakhein Madine mein
Tamaam umr rehai ki woh dua na kare
Nabi ﷺ ke qadamoun pe jis dam ghulaam ka sar ho
Qaza se keh do ke ik lamha bhi qaza na kare.
Shaoor naat bhi ho, aur zabaan bhi ho adeeb
Woh aadmi nahin jo un ka haq ada na kare