Kalams Page

Khud Ko Dekha To Tera Jood O Karam Yaad Aya

Poet: Muhammad Azam Chishti | Book: Kuliyat-e-Azam Chishti | Type: Naat

Khud Ko Dekha To Tera Jood O Karam Yaad Aya


Khud ko dekha to tera jood o karam yaad aya
Tujh ko dekha to musaw'wir ka qalam yaad aya

Subah phooti to tere rukh ki zia yaad aayi
Chaand nikla to tera naqsh-e-qadam yaad aya

Kabah dekha to teri but shakni yaad aayi
Khuld dekhti to tera sehan-e-haram yaad aya

Ham ne aadha ke mazalim ka gilaa chor diya
Zaat par teri jo apno ka sitam yaad aya

Dekh kar jhootay khudaon ki sakha ka dastoor
Mujh ko sarkar ka andaaz-e-karam yaad aya

Roshni tair gayi hadd-e-nazar tak Aazm
Jab bhi woh maah-e-Arab, mehr-e-Ajm yaad aya