Khawab Mein Kaash Kabhi Aisi Bhi Sa'at Paon
Khawab Mein Kaash Kabhi Aisi Bhi Sa'at Paon
Khawab mein kaash kabhi aisi bhi sa'at paon
Aap ko naat sunanay ki sa'adat paon
Raah-e-tayyaba mein hoon hamrah sana khwan tere
Hafiz o taib o afzal ki rafaqat paon
Teri rehmat ho muhafiz meri manzil manzil
Chaar soo apne, tera ha'ala-e-rehmat paon
Isteqamat ho 'ata girte hue jazbon ko
Shar ke in zalzalon mein khair ki mohlat paon!
Sab se akhir mein sahi, gar nahi sab se pehle
Shafi'e hashr! Teri mein bhi shafa'at paon
Raast fahmi mile in be basar andaazon mein
Is gumaan zaar mein eeqan-e-haqiqat paon
Kaam aaye marakhon hurmat-e-deen ki reh mein
Sar-e-meedan-e-wafa aoj-e-shahadat paon
Yaad se teri hum aahang ho dhadkan dhadkan
Zikar se tere kisi pal na faragat paon
Saniyah saniyah ho shukar sarapa ki misaal
Umar mein khair to aamaal mein barkat paon
Dahr mein wajah-e-hayat aap ke altaaf rahein
Hashr mein baahr-e-nijat aap ki rehmat paon
Sharaf andoz hozaat aap ke jazb-e-hub se
Main ghulam aap kahon aap se izzat paon
Ek pal bhi na Riaz aaj se guzre bekaar
Khair ke wastay ab umar ki mohlat paon