Kharab Haal Kiya Dil Ko Purmalal Kiya
Kharab Haal Kiya Dil Ko Purmalal Kiya
Kharab haal kiya dil ko purmalal kiya
Tumhare koocha se rukhsat kiya nahal kiya
Na roo'e gul abhi dekha na boo'e gul soonghi
Qaza ne la ke qafas mein shikasta baal kiya
Woh dil ke khoon shuda armaan the jis mein mil dala
Fughan ke gor-e-shaheeda ko paa'imaal kiya
Yeh raye kya thi wahan se palatne ki aye nafas
Sitam gar ultee chhuri se humein halaal kiya
Yeh kab ki mujh se adaavat thi tujh ko aye zalim
Chhura ke sang-e-dar-e-paak sar wabal kiya
Chaman se phaink diya aashiyana-e-bulbul
Ujaara khanah-e-bekas bara kamaal kiya
Tera sitam zada aankhon ne kya bigaada tha
Yeh kya samai ke door un se woh jamaal kiya
Huzoor un ke khyaal-e-watan mitana tha
Hum aap mit gaye achha firaag baal kiya
Na ghar ka rakha na us dar ka haaye nakaami
Hamari bebasi par bhi na kuch khayaal kiya
Jo dil ne mar ke jalaya tha mannatun ka chiraagh
Sitam ke arz raah-e-sarsar zawal kiya
Madina chhod ke weerana hind ka chhaya
Yeh kaisa haaye hawaason ne ikhtilal kiya
Tu jis ke wastay chhod aaya Tayyaba sa mehboob
Bata to us sitam aara ne kya nahal kiya
Abhi abhi to chaman mein the chehchehe nagah
Yeh dard kaisa utha jis ne jee nadhal kiya
Ilahi sun le Raza jeete ji ke maula ne
Sagaan-e-koocha mein chehra mera bahaal kiya