Khalq Ke Sarwar Shafi Mahshar Sallallahu Alayhi Wa Sallam
Khalq Ke Sarwar Shafi Mahshar Sallallahu Alayhi Wa Sallam
Khalq ke sarwar shafi mahshar sallallahu alayhi wa sallam
Mursal dadar khaas paimbar sallallahu alayhi wa sallam
Noor-e-mujassam, nayar-e-azam sarwar-e-alam, monis-e-adam
Nooh ke humdam, Khizr ke rehbar sallallahu alayhi wa sallam
Bahr-e-sakhawat, kan-e-murawwat, ayah-e-rehmat, shafi-e-ummat
Maalik-e-jannat, qasim-e-kosar sallallahu alayhi wa sallam
Rehbar-e-Musa, hadi eesa, tarik-e-duniya, maalik-e-uqba
Haath ka takiya, khaak ka bistar sallallahu alayhi wa sallam
Sard-e-kharaamaan, chehra gulistan, jabah taaban, mehr darakhshan
Sunbal ka pechaan, zulf-e-muanbar sallallahu alayhi wa sallam
Qibla-e-alam, kaaba e azam, sab se muqaddam, raaz se muharram
Jaan-e-mujassam, rooh-e-musawwar sallallahu alayhi wa sallam
Mehr se mamloo resha resha, naat ameer apna hai pesha
Wird hamesha din bhar shab bhar sallallahu alayhi wa sallam