Kalams Page

Khaak Suraj Se Andheron Ka Azala Hoga

Poet: Khalid Mahmood Khalid | Book: Qadam Qadam Sajday | Type: Naat

Khaak Suraj Se Andheron Ka Azala Hoga


Khaak suraj se andheron ka azala hoga
Aapؐ aayen to mere ghar mein ujala hoga

Hashr mein un ka har ik chaahnay wala hoga
Mere sarkarؐ ka alam hi nirala hoga

Hashr mein hoga wo sarkarؐ ke jhanday ke tale
Mere sarkarؐ ka jo chaahnay wala hoga

Ishq-e-sarkarؐ ki ek shama jala lo dil mein
Ba'ad marne ke lahd mein bhi ujala hoga

Aa nahi sakta nazar jalwa-e-sarkarؐ kabhi
Be-yaqeeni ka agar aankh mein ja la hoga

Kal wo sarkarؐ ke daaman mein nazar aaye ga
Jis ke aybon ko zamane ne uchhala hoga

Jab bhi mango to waseele se unhi ke mango
Is waseele se karam aur dobaala hoga

Sar jhukaye ga wo sarkarؐ ke qadmom mein zaroor
Jis ka maqsood bhi Allah ta'ala hoga

Hashr mein usko bhi seene se lagayenge Huzoorؐ
Jis gunah gaar ko har ek ne tala hoga

Ho ga sarab sar-e-Kausar-o-Tasneem wohi
Jis ke hathon mein Madine ka piala hoga

Har zarurat pe kafalat ki nazar hai teri
Aur tujh sa na koi paalne wala hoga

Mah-e-Taiba ki tajalli bhi nirali hogi
Aap ke gird bhi ashaab ka haala hoga

Sila-e-naat-e-nabiؐ paye ga jis din Khalidؔ
Wo karam dekhna tum dekhne wala hoga