Kalams Page

Karbala Ke Jaan Isaroon Ko Salaam

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Manqabat

Karbala Ke Jaan Isaroon Ko Salaam


Karbala ke jaan isaroon ko salaam
Fatima Zahra ke pyaroon ko salaam

Mustafa ke maah paroon ko salaam
Naujawanoon gul-e-izaroon ko salaam

Karbala teri baharon ko salaam
Jaan isari ke nazaroon ko salaam

Ya Hussain ibn-e-Ali mushkil kusha
Aap ke sab jaan isaroon ko salaam

Akbar o Asghar pe jaan qurban ho
Mere dil ke tajdaroon ko salaam

Qasim o Abbas par hon rehmatain
Karbala ke sheh-sawaaroon ko salaam

Jis kisi ne Karbala mein jaan di
Un sabhi imandaroon ko salaam

Bhuki piyaasi beebiyon par rehmatain
Bhuke piyaasi gul-e-izaroon ko salaam

Bhed kya jane shahadat ka koi
Un Khuda ke razdaaroon ko salaam

Be-basi mein bhi haya baaqi rahi
Sab Hussaini parda-daaroon ko salaam

Rehmatain hon har sahabi par mudam
Aur khususan chaar yaaroon ko salaam

Beebiyon ko abid-e-bimaar ko
Be-kasoon, gham ke maaroon ko salaam

Ho gaye qurban Muhammad aur Aun
Syyeda Zainab ke pyaroon ko salaam

Karbala mein zulm ke toote pahar
Jin pe in sab dilfigaroon ko salaam

Aal o As-haab-e-Nabi ke jis qadr
Chahne wale hain saaron ko salaam

Ya Khuda! Ay kaash! Ja kar phir karoon
Karbala ke sab mazaroon ko salaam

Teen din ke bhooke piyaase aap ki
Ya Nabi! Aankhon ke taaroon ko salaam

Jo Hussaini qafile mein the shareek
Kehta hai Attar saaron ko salaam