Kalams Page

Karam Maangta Hoon Ata Maangta Hoon

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Karam Maangta Hoon Ata Maangta Hoon


Karam maangta hoon ata maangta hoon
Ilahi main tujh se dua maangta hoon

Ata kar tu Shaan-e-Karimi ka sadqa
Ata karde Shaan-e-Rahimi ka sadqa
Na maangoon ga tujh se to maangoon ga kis se
Tera hoon main tujh se dua maangta hoon

Ilahi hamesha tu masroor rakhna
Blaon se hum ko bohot door rakhna
Preshaniyan hum ko ghairay hue hain
Main un se tera aasra maangta hoon

Jo muflis hain un ko tu dolat ata kar
Jo bemar hain un ko sehat ata kar
Marizon ki khatar shifa maangta hoon
Ilahi main tujh se dua maangta hoon

Jo nadar hain kuch nahi jin ke palay
Unhein bhi dikha de haram ke tu jalwe
Huzoori ho sab ki dua maangta hoon
Ilahi main tujh se dua maangta hoon

Watan ke bharakte shararay bujha de
Aye tu akhuwwat ka gulshan bana de
Main amn o amaan ki rida maangta hoon
Ilahi main tujh se dua maangta hoon

Ilahi tujhe wastaa Panjtan ka
Ho shadab ghancha dilon ke chaman ka
Main sadqa Ghaus-ul-Wara maangta hoon
Ilahi main tujh se dua maangta hoon