Kalams Page

Karam Ki Ek Nazar Hum Par Khudaraya Rasool Allah ﷺ

Poet: Khalid Mahmood Khalid | Book: Qadam Qadam Sajday | Type: Naat

Karam Ki Ek Nazar Hum Par Khudaraya Rasool Allah ﷺ


Karam ki ek nazar hum par Khudaraya Rasool Allah ﷺ
Tumhi ho be saharon ka saharaya Rasool Allah ﷺ

Ghareebon ke hain data be kason ke aap wali hain
Mohabbat aap ki dil mein hai lekin hath khaali hain
Idhar bhi apni rehmat ka ishara ya Rasool Allah ﷺ

Pukara hai madad ko ya Nabi hum gham ke maron ne
Tumhare dar pe ja kar bheek mangi badshahon ne
Humein bhi aasra hai bas tumhara ya Rasool Allah ﷺ

Bane bigri hamari hum bhi hain kismat ke maron mein
Tumhein ummat hai pyari yaar tum Allah ke pyaron mein
Bacha lo dil tootne se dil hamara ya Rasool Allah ﷺ

Mera imaan hai aashiq ko jab bhi gham satate hain
Shehenshahe jahan uski madad ko pohanch jate hain
Kisi ne jab kahin se bhi pukara ya Rasool Allah ﷺ

Tadapta hai mera dil aur barasti been bohot aankhen
Madine ke nazaron ko tarasti hain bohot aankhen
Bula lo aab Madine mein Khudara ya Rasool Allah ﷺ