Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Karam ke badal baras rahe hain
Dilun ki kheti hari bhari hai
Ye kon aaya ke zikr jiska
Nagar nagar hai gali gali hai
Ye kon ban kar qarar aaya
Ye kon jaan-e-bahar aaya
Gulun ke chehre hain nikhre nikhre
Kali kali mein shaguftagi hai
Diye gulun ke jalaaye rakhna
Nabiؐ ki mehfil sajaaye rakhna
Jo rahat-e-dil sukoon-e-jaan hai
Woh zikr zikr-e-Muhammadiؐ hai
Nabiؐ ko apna khuda na maano
Magar Khuda se juda na jaano
Hai ahl-e-imaan ka ye aqeeda
Khuda Khuda hai Nabiؐ Nabiؐ hai
Na maango tum duniya ke khazine
Chalo Niazi chalein Madine
Ke badshahi se barh ke pyaare
Nabiؐ ke dar ki gadagari hai