Kalams Page

Karam Hain Aap Ne Mujh Ko Bulaya Yarasool Allah

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Karam Hain Aap Ne Mujh Ko Bulaya Yarasool Allah


Karam hain aap ne mujh ko bulaya yarasool Allah
Mujhe bhi jeete ji roza dikhaya yarasool Allah

Sunehri jaliyon se ab nazar hatti nahi meri
Ye manzar aap ne aisa dikhaya yarasool Allah

Muqaddar jag utha is ki muraden ho gayin poori
Aap ke aastana pe aaya yarasool Allah

Main samjhun ga ke mujh ko mil gayin konain ki dolat
Aap ki aal ka sadqa jo paya yarasool Allah

Laga dijiye idhar bhi abr rehmat ka koi chhenta
Muqaddar aap ne sab ka jagaya yarasool Allah