Karam Ban Gayi Hai Ata Ho Gayi Hai
Karam Ban Gayi Hai Ata Ho Gayi Hai
Karam ban gayi hai ata ho gayi hai
Nigah-e-Nabi ﷺ aasra ho gayi hai
Gham-e-Mustafa ﷺ se bi fazal ta'ala
Tabiat meri aashna ho gayi hai
Diyar-e-Rasool ﷺ Khuda tak main pohnchoon
Ye hasrat mada ho gayi hai
Zamana hamara adab kar raha hai
Nazar aap ﷺ ki hum pe kya ho gayi hai
Diyar-e-Nabi ﷺ ki gali ko to dekho
Haqeeqat ki rah ka pata ho gayi hai
Muhammad ﷺ ko jab bhi kisi ne sataya
Zaban un ki wafq-e-dua ho gayi hai
Main Mahmood jab naat parhne laga hoon
Ye duniya meri hum-nawa ho gayi hai