Karam Aaj Balay-e-Baam Aa Gaya Hai
Karam Aaj Balay-e-baam Aa Gaya Hai
Karam aaj balay-e-baam aa gaya hai
Zabaan par Muhammad ﷺ ka naam aa gaya hai
Daroodon ki baarish hai kon o makaan par
Ke aaj Ambiya ka Imaam aa gaya hai
Mujhe mil gayi hai do Aalam ki shahi
Mera un ke mangton mein naam aa gaya hai
Mere paas kuch bhi na tha roz-e-mahshar
Nabi ﷺ ka waseela hi kaam aa gaya hai
Maza jab hai Sarkar Mahshar mein keh dein
Woh dekho hamara ghulaam aa gaya hai
Charaghan hua bazm-e-hasti mein Khalid
Nigaahon mein husn tamam aa gaya hai