Kahin Na Dekha Zamane Bhar Mein Jo Kuch Madine Mein Aake Dekha
Kahin Na Dekha Zamane Bhar Mein Jo Kuch Madine Mein Aake Dekha
Kahin na dekha zamane bhar mein jo kuch Madine mein aake dekha
Tajaliyon ka laga hai mela jidhar nighahein utha kar dekha
Woh dekho dekho sunehri jali, idhar sawali udhar sawali
Qareeb se jo bhi unke guzra Huzoor ne muskara kar dekha
Ajeeb lazat hai bekhudi ki, ajab kashish hai dar-e-Nabi ki
Suroor kaisa hai kuch na poochho lipat ke sine laga ke dekha
Tawaaf roze ka kar rahi hain yahan wahan ashkbaar-e-aankhein
Hai goonj Sal-e-Alla ki har soo jahan, jahan pe bhi jaake dekha
Jahan gaye un ka zikr cheda jahan rahe un ki yaad aayi
Na gham zamane ke paas aaye Nabi ki naatein suna ke dekha
Zahoori jage naseeb tere bas ik nigha-e-karam ke sadqe
Ke baar baar apne dar pe tujh ko tere Nabi ne bula ke dekha