Kalams Page

Kahan Mein Kahan Madh-e-Zaat-e-Garami

Poet: Manzoor Hussain (Maher-ul-Qadri) | Book: Unknown | Type: Naat

Kahan Mein Kahan Madh-e-Zaat-e-Garami


Kahan mein kahan madh-e-zaat-e-garami
Na Saadi na Roomi na Qudusi na Jami

Paseene paseene hua ja raha hoon
Kahan yeh zubaan aur kahan naam-e-naami

Salaam us shahenshah-e-har do sara par
Darood us imam-e-saf-e-anbiya par

Peyaami to be shak sabhi mohtaram hain
Magar Allah Allah khusoosi peyaami

Falak se zameen tak hai jashn-e-chiraghan
Ke tashreef late hain shah-e-rusoolan

Khusha jaluha-e-mahtab-e-mujassam
Zahe aamad-e-aftaab tamaami

Koi aisa haadi dikha de to jaanen
Koi aisa mohsin bata de to jaanen

Kabhi doston par nazar ehtaasabi
Kabhi dushmanon se bhi sheereen kalaami

Ita'at ke iqraar bhi har qadam par
Shafa'at ka iqraar bhi har nazar mein

Asulan khataon pe tanbeeh lekin
Mizaajan khata kaar bandon ke haami

Yeh aansu jo aankhon se meri rawaan hain
Aataaye shahenshah-e-kon-o-makaan hain

Mujhe mil gaya jaam-e-sehbaye kausar
Mere kaam aayi meri tashna kaami

Fakeeron ko kya kaam tabl o alam se
Gadawon ko kya fikr jaah o hashm ki

Abaon qabaon ka mein kya karunga
Ataa ho gaya mujh ko taj-e-ghulami

Inhein sadq-e-dil se bula ke to dekho
Nadamat ke aansu baha ke to dekho

Liye jao uqba mein naam-e-Muhammad (S.A.W)
Shafa'at ka zaamin hai ism-e-garami