Ka‘be Ke Badru Dooja Tum Pe Karoron Durood
Ka‘be Ke Badru Dooja Tum Pe Karoron Durood
Ka‘be ke badru dooja tum pe karoron durood
Tayba ke shams-ud-duha tum pe karoron durood
Shaafi‘e roz-e-jazaa tum pe karoron durood
Daafi‘e jumla balaa tum pe karoron durood
Dil kare thanda mera woh kafa-e-pa chaand sa
Seene pe rakh do zara tum pe karoron durood
Aur koi ghaib kya tum se nihaan ho bhala
Jab na Khuda hi chhupa tum pe karoron durood
Woh shab-e-me‘raaj raaj woh saf-e-mahshar ka taaj
Koi bhi aisa hua? Tum se karoron durood
Kar ke tumhaarey gunaah maange tum se panaah
Tum kaho daaman mein aa, tum pe karoron durood
Tum ho haafiz o mughees, kya hai woh dushman khabees
Tum ho to phir khauf kya, tum pe karoron durood
Ek taraf adaa-e-deen, ek taraf hi haadi-e-deen
Banda hai tanha shaha, tum pe karoron durood
Hum ne khataa mein na ki, tum ne ‘ataa mein ki
Koi kami sarwarah, tum pe karoron durood
Aankh ‘ataa kijiye, is mein ziya dijiye
Jalwa qareeb aa gaya, tum pe karoron durood
Kaam woh le lijiye, tum ko jo raazi kare
Theek ho naam-e-Raza, tum pe karoron durood