Kalams Page

Ka'batullah Mein Wiladat Marhaba Shaan-e-ali!ؓ

Poet: Hafiz Abdul Jalil | Book: Mehkaar Madine Ki | Type: Manqabat

Ka'batullah Mein Wiladat ‘ Marhaba Shaan-e-ali!ؓ


Ka'batullah mein wiladat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ
Payi masjid mein shahadat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ

Hai mubarak zindagi mein ijtima-e-barkatayn
Allah Allah yeh sa'adat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ

Un ke sab ausaaf ka kaisay ihata ho sakay
Zikr jin ka hai ibadat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ

Dubay sooraj ka palatna teri khaatir Bu Turab
Kya mila ajr-e-ita'at! ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ

Martabat un ki bhala be misal phir kyun kar na ho
Chehra takna bhi ibadat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ

Apne bachon ka nwala dena sa'il ko ‘ jaleel!
Us gharanay ki hai aadat ‘ marhaba shaan-e-Ali!ؓ