Kalams Page

Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Poet: Syed Sabihuddin Sabih Rahmani | Book: Kuliyat-e-Sabih Rahmani | Type: Naat

Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar, Allahu Akbar, Allahu Akbar


Kaabay ki ronaq kaabay ka manzar, Allahu Akbar, Allahu Akbar
Dekhoon to dekhe jaaon barabar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Hairat se khud ko kabhi dekhta hoon aur dekhta hoon kabhi main haram ko
Laya kahaan mujh ko mera muqaddar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Hamd khuda se tar hain zubaanay, kaanon mein ras gholti hain azaanay
Bas ek sada aa rahi hai barabar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Qatray ko jaise samete samundar, mujh ko samete mataaf apne andar
Jaise samete aaghosh-e-madar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Maangi hain maine jitni duaaen, manzoor hon gi maqbool hon gi
Mezaab-e-rehmat hai mere sar par, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Yaad aa gayeen jab apni khataayen, ashkon mein dhalnay lagi iltijaayen
Roya ghilaaf-e-kaaba pakad kar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Apni ata se bulwa liya hai, mujh par karam mere Rab ne kiya hai
Pohcha hateem-e-kaaba ke andar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Bheja hai jannat se tujh ko khuda ne, chuma hai tujh ko khud Mustafa ne
Ae sang-e-aswad tera muqaddar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Jis par Nabi ke qadam ko sajaya, apni nishani kehkar bataya
Mahfooz rakha Rab ne woh pathar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Mahshar mein ho na mujhe pyaas ka dar, hoon meharbaan mujh par saaqi-e-kausar
Rab se dua ki zam zam ko pi kar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha, Rab ke karam ka jalwa bhi dekha
Dekha rowaan ek suron ka samundar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Kaabay ke o par se jaate nahin hain, kis ko adab yeh sikhate nahin hain
Kitne modab hain yeh kabootar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Tere karam ki kya baat Moula, tere haram ki kya baat Moula
Taa umr kar de aana muqaddar, Allahu Akbar, Allahu Akbar

Moula Sabih aur kya chahta hai, bas maghfirat ki ata chahta hai
Bakhshish ke taalib pe apna karam kar, Allahu Akbar, Allahu Akbar