Kalams Page

Kaabay Ki Ronak Kaabay Ka Manzar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Poet: Syed Sabihuddin Sabih Rahmani | Book: Kuliyat-e-Sabih Rahmani | Type: Naat

Kaabay Ki Ronak Kaabay Ka Manzar, Allahu Akbar Allahu Akbar


Kaabay ki ronak kaabay ka manzar, Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhun to dekhe jaaun barabar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd Khuda se tar hain zubanein, kaanon mein ras gholti hain azaanein
Bas ek sada aa rahi hai barabar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Tere karam ki kya baat Maula, Tere haram ki kya baat Maula
Ta umr likh de aana muqaddar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Maangi hain jitni maine duain, maqbool hongi, manzoor hongi
Mezaab-e-rahmat hai mere sar par, Allahu Akbar Allahu Akbar

Hairat se khud ko kabhi dekhta hoon, aur dekhta hoon kabhi main haram ko
Ke laaya kahaan mujh ko mera muqaddar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Yaad aa gayi jab apni khataayein, ashkon mein dhhalne lagein iltijaayein
Roya ghilaf-e-Kaaba pakad kar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Bheja hai jannat se tujh ko Khuda ne, chuma hai tujh ko mere Mustafa ne
Ae Sang-e-Aswad tera muqaddar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekha Safa aur Marwa bhi dekha, Rab ke karam ka jalwa bhi dekha
Dekha wahan ek saroon ka samundar, Allahu Akbar Allahu Akbar

Maula Sabih aur kya chahta hai, bas maghfirat ki dua chahta hai
Bakhshish ke taalib pe apna karam kar, Allahu Akbar Allahu Akbar