Juktay Hain Jahan Sabhi Tera Woh Aastan
Juktay Hain Jahan Sabhi Tera Woh Aastan
Juktay hain jahan sabhi tera woh aastan
Abbas tere dar sa duniya mein dar kahan
Tu qamar bani Hashim Zehra ki tu dua hai
Saaya tere aalam ka do jag pe ba-Khuda hai
Tere alam ko choomne jhukta hai aasmaan
Abbas tere dar sa duniya mein dar kahan
Sher-e-Khuda hai baba aur sher-e-Karbala tu
Tere dar pe jo bhi aaye mushkil kare kusha tu
Tere diye jalata hai is liye jahan
Abbas tere dar se duniya mein dar kaha
Tu Shahenshah-e-Wafa ka do jag pe teri shahi
Panjtan hain tujh pe nazan aisi wafa nibhayi
Shaahid tere alam pe Panjtan ka ye nishaan
Abbas tere dar sa duniya mein dar kahan
Juktay hain jahan sabhi tera woh aastan
Abbas tere dar sa duniya mein dar kahan