Jo Roshni Haq Se Phoot Kar Jism Ban Gayi Hai, Wohi Nabi Hai
Jo Roshni Haq Se Phoot Kar Jism Ban Gayi Hai, Wohi Nabi Hai
Jo roshni haq se phoot kar jism ban gayi hai, wohi Nabi hai
Tamam takhleeq ka jo keh waar-e markazi hai, wohi Nabi hai
Wajood-e Adam se taaba Isa har ak zamana hai mubtadi sa
Sadi sadi jis ke ahad se dars le rahi hai, wohi Nabi hai
Khuda ki rehmat hai naam us ka falah-e insaan paigham us ka
Dhali hui is paigham mein jis ki zindagi hai, wohi Nabi hai
Bashar hai woh ya kalaam-e Baari mein us ki har ak ada ka qaari
Tamam Quran ki jo tasveer-e ma'naavi hai, wohi Nabi hai
Basaayi duniyaa-e andarooni, Nabi Maseeha, nigaah-e khooni
Durasti naqsha khayalaat jis ne ki, wohi Nabi hai
Jo us gali ke Ayyaz thehre woh log tareek saaz thehre
Kamaal saalari-e jahaan jis ki pairavi hai, wohi Nabi hai
Qadam nishan-e qadam se baala wajood us ka adam se baala
Jo awwal kaainaat hokar bhi aakhri hai, wohi Nabi hai
Na sirf woh is jahaan se guzra woh aasman aasman se ganda
Nigaah-e science daan bhi jis par lagi hui hai, wohi Nabi hai
Jo koi amrit bhi de na chakna, lagan Muzaffar usi ki rakhna
Sanwaari jis ne teri duniya o deen wohi hai, wohi Nabi hai