Jo Ishq Nabi Ke Jalwoon Ko Seenoon Mein Basaya Karte Hain
Jo Ishq Nabi Ke Jalwoon Ko Seenoon Mein Basaya Karte Hain
Jo ishq Nabi ke jalwoon ko seenoon mein basaya karte hain
Allah ki rehmat ke badal un logon pe saya karte hain
Jab apne ghulamon ki Aaqa taqdeer banaya karte hain
Jannat ki sanad dene ke liye roza pe bulaya karte hain
Makhlooq ki bigrri banti hai, Khaaliq ko bhi pyar aata hai
Jab behr-e-dua Mehboob-e-Khuda haathon ko uthaya karte hain
Ae doulat-e-irfan ke mangto, is dar pe chalo jis dar pe sada
Din raat khazane rehmat ke Sarkar lutaya karte hain
Gardaab bala mein phans ke koi Tayyiba ki taraf takta hai
Sultan-e-Madina khud akar, kashti ko taraya karte hain
Woh naza ki sakhti ho ae dil, ya qabr ki mushkil manzil ho
Woh apne ghulamon ki aksar imdad ko aaya karte hain
Hai shughul hamara shaam o seher aur naaz Sikandar qismat par
Mehfil ki Rasool-e-Akram ki hum naat sunaya karte hain