Kalams Page

Jo Ho Chuka Hai Jo Ho Ga, Huzoor Jaanty Hain

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Jo Ho Chuka Hai Jo Ho Ga, Huzoor Jaanty Hain


Jo ho chuka hai jo ho ga, Huzoor jaanty hain
Teri ata se Khuda ya, Huzoor jaanty hain.

Aye ilm-e-ghaib ke munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhe bhi kehna pare ga, Huzoor jaanty hain.

Munafiqon ka aqeeda woh ghibat-daan nahin,
Aur sahaba ka aqeeda, Huzoor jaanty hain.

Woh mominon ki to jaanon se bhi qareeb hue,
Kahan se kis ne pukara, Huzoor jaanty hain.

Haran ye kehne lagi chhod de mujhe siyah,
Main loot aaun gi wallah, Huzoor jaanty hain.

Haran ne oont ne chr yon ne ki yehi fariyad,
ke un ke gham ka mudda, Huzoor jaanty hain.

Bula rahe hain nabi ja ke itna bol usse,
Daraqt kaise chale ga, Huzoor jaanty hain.

Kahan maaren ge Abu Jahl wo Atba wo Shaiba,
Ke jang-e-Badar ka naqsha, Huzoor jaanty hain.

Isi liye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yar-e-ghar ka rutba, Huzoor jaanty hain.

Umar ne tan se juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, Huzoor jaanty hain.

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan se gaya,
Mazaj Umar ka hai kaisa, Huzoor jaanty hain.

Wohi hai paikar-e-sharam wo haya wo zulm nooran,
Maqam un ki haya ka, Huzoor jaanty hain.

Ye khud shaheed hain, bête nawase potay shaheed,
Ali ki shaan-e-yagana, Huzoor jaanty hain.

Hain jiske maula Huzoor uske hain Ali maula,
Abu Turab ka rutba, Huzoor jaanty hain.

Main un ki baat karun ye nahin meri aaqiyat,
Ke shaan-e-Fatima al-Zahra, Huzoor jaanty hain.

Jeena main kon hai sardar nawajwanon ke,
Hasan, Hussain ke nana, Huzoor jaanty hain.

Nahin hai zad-e-safar paas jin ghulamoun ke,
Unhain bhi dar pe bulana, Huzoor jaanty hain.

Khuda hi jaane abad unko hai pata kya kya,
Humein pata hai bas itna, Huzoor jaanty hain.

Malaika ne kya yun to sajdah Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajdah, Huzoor jaanty hain.

Woh kitna faasla tha, aur kalaam tha kaisa,
Aao Adna aur Maaha, Huzoor jaanty hain.

Mile the raa mein no baar kis liye Musa,
Ye deed-e-Haq ka bahaana, Huzoor jaanty hain.

Main chup khada hoon moj'ah pe sar jhukaye hue,
Sunaun kaise fasana, Huzoor jaanty hain.

Chhupa rahe hain lagatar mere aibon ko,
Main kis qadr hoon kameena, Huzoor jaanty hain.

Main un ki baat karun ye nahin meri aaqiyat,
Ke shaan-e-Fatima al-Zahra, Huzoor jaanty hain.

Jo ho chuka hai jo ho ga, Huzoor jaanty hain,
Teri ata se Khuda ya, Huzoor jaanty hain.

Khuda ko dekha nahi aur ek maan liya,
Ke jaanty the sahaba, Huzoor jaanty hain.

Khabar bhi hai? ke khabar sab ki hai unhein kab se,
Ke jab na ab tha na kab tha, Huzoor jaanty hain.

Kayi unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe,
Khuda ne kitna nawaza, Huzoor jaanty hain.