Kalams Page

Jo Firdous Tasawwur Hain Wo Manzar Yaad Aate Hain

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Jo Firdous Tasawwur Hain Wo Manzar Yaad Aate Hain


Jo firdous tasawwur hain wo manzar yaad aate hain
Madine ke gali kooche barabar yaad aate hain

Jo lagta hai koi kankar badan par deen ki khatir
To dil ko waadi Taif ke patthar yaad aate hain

Fizaon mein agar koi parinda raqs karta hai
To aankhon ko Madine ke kabootar yaad aate hain

Maratib paaye hain kya kya teri nisbat se zarro ne
Abu Bakr o Umar, Usman o Haider yaad aate hain

Akhuwat aur eesaar o mohabbat jin ka shewa tha
Wo aali zarf Ashab e Paigambar yaad aate hain

Zamane ki garan khwabi ka alam dekh kar Azhar
Nabi ﷺ ke deen ki bedari ke paikar yaad aate hain