Kalams Page

Jis Taraf Chashm-e-Muhammadؐ Ke Ishare Hogaye

Poet: Sagar Siddiqui | Book: Kuliyat-e-Saagar | Type: Naat

Jis Taraf Chashm-e-Muhammadؐ Ke Ishare Hogaye


Jis taraf chashm-e-Muhammadؐ ke ishare hogaye
Jitne zarre samne aaye sitare ho gaye

Jab kabhi ishq-e-Muhammadؐ ki inayat ho gayi
Mere aansu kausar o zamzam ke dhare ho gaye

Mauja-e-toofan mein jab naam-e-Muhammadؐ le liya
Doobti kashti ke tinke hi sahare ho gaye

Ya Muhammadؐ aap ki nazron ka ye eijaz hai
Jis taraf uthti nigahen sab tumhare ho gaye

Main hoon aur yad-e-Madina aur hain tanhaiyan
Apne begane sabhi mujh se kinare hogaye

Apni kamli ka zara saya inayat ho mujhe
Dil ke dushman ya Muhammadؐ dil se pyare hogaye

Doobne walon ne jab naam-e-Muhammadؐ le liya
Halqa-e-toofan ko hasil kinare ho gaye

Un ki nazron mein yaqeenan bagh-e-jannat kuch nahi
Jis ki nazron ko Madine ke nazare ho gaye

Chand lamhe astanae paak par guzre hain jo
Woh hamari zindagani ke sahare hogaye

Sabz gumbad ke liye ash'ar-e-Sagharؔ marhaba
Jagmaga kar zindagi ke mahpare ho gaye