Jin Ka Hai Taiba Maqam, Unﷺ Pe Darood Aur Salam
Jin Ka Hai Taiba Maqam, Unﷺ Pe Darood Aur Salam
Jin ka hai Taiba maqam, unﷺ pe darood aur salam
Jo hain Rasool-e-anaam, unﷺ pe darood aur salam
Haami-e-alam hain woﷺ, haadi-e-azamﷺ hain wo
Kyun na kahen khaas o aam, unﷺ pe darood aur salam
Jo hain Habeeb Khuda, jo hain Shah-e-dosra
Jin ki hai duniya ghulaam, unﷺ pe darood aur salam
Jin ke hain ye do jahan, jin ke hain kon o makaan
Jin ke hain ye subah o shaam, unﷺ pe darood aur salam
Maalik-e-jinn o bashar, bais-e-noor-e-qamar
Meem se hai jin ka naam, unﷺ pe darood aur salam
Zaair-e-arz-e-Rasoolﷺ, iltija kar le qabool
Itna hai mera payaam, unﷺ pe darood aur salam
Rota hoon Behzad main, karta hoon faryaad main
Bhejta hoon subah o shaam, unﷺ pe darood aur salam