Kalams Page

Jashn-e-Aamad Rasool Allah Hi Allah

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Jashn-e-Aamad Rasool Allah Hi Allah


Jashn-e-Aamad Rasool Allah Hi Allah
Bibi Aamna ke phool Allah hi Allah

Jab ke Sarkar tashreef lanay lage
Hoor o ghulman bhi khushiyan manane lage

Har taraf noor ki roshni chha gayi
Mustafaﷺ kya mile zindagi mil gayi

Aye Haleema teri god mein aa gaye
Dono aalam ke Rasool Allah hi Allah

Chehra-e-Mustafa jab dikhaaya gaya
Chhup gaye tare aur chaand sharma gaya

Aamna dekh kar muskurane lageen
Hawa Maryam bhi khushiyan manane lageen

Aamna Bibi sab se yeh kehne lageen
Dua ho gayi qubool Allah hi Allah

Shadyane khushi ke bajaaye gaye
Shad ke naghme sab ko sunaaye gaye

Har taraf shor Sal-lalay-ho gaya
Aaj paida Habeeb Khuda ho gaya

Phir to Jibreel ne bhi yeh elaan kiya
Yeh Khuda ke hain Rasool Allah hi Allah

In ka saya zameen par na paaya gaya
Noor se Noor dekho juda na hua

Hain ko Abid nabi par bara naaz hai
Kya bhala mere aaqa ka andaaz hai

Jis ne rukh par mili wo shifa paa gaya
Khaak Tayba teri dhool Allah hi Allah