Jari Hai Do Jahan Pe Hukumat E Rasoolؐ Ki
Jari Hai Do Jahan Pe Hukumat E Rasoolؐ Ki
Jari hai do jahan pe hukumat e Rasoolؐ ki
Karte hain mehr o mah itaat e Rasoolؐ ki
Imaan aik naam hai hub e Rasoolؐ ka
Hai khuld ki bahar mohabbat e Rasoolؐ ki
Nok e mizha pe jin ki rahe ashk e karbala
Paain ge hashr mein woh shafaat e Rasoolؐ ki
Ghaar e hira ko yaad hain sajday e Rasoolؐ ke
Dekhi hai pathron ne ibadat e Rasoolؐ ki
Daman e aql o hosh sahara na de mujhe
Chahat khuda ki ban gayi chahat e Rasoolؐ ki
Sagharؔ tamam alam e hasti hai be hijab
Aankhon mein bas rahi hai woh khalwat e Rasoolؐ ki