Kalams Page

Janam Fida'e Haidari Ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ

Poet: Saleem Abbas | Book: Unknown | Type: Manqabat

Janam Fida'e Haidari Ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ


Janam fida'e Haidari ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ
Janam fida'e Haidari ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ

Hai Muhammad mera dil to seenah Aliؓ
Mere jeene ka wahed qareena Aliؓ
Deen-e-Islam ka hai nageena Aliؓ
Haq ki manzil ka pehla hai zeena Aliؓ
Dasht mein abr ka pehla qatra Aliؓ
Mera murshid bhi aaqa bhi maula Aliؓ
Har soo sada'e Haidari ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ
Janam fida'e Haidari ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ

Subah se shaam tak har pehar har ghari
Lab pe apne rahe naara-e-Haidari
Yani Khyber shikan yani mushkil kasha
Baada Yazdaan ke hai doosra aasra
Main museebat mein ab kyon pareshaan rahoon
Gham ke maaron ka hai tu saahara Aliؓ
Ramz e baqa'e Hashmi ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ
Janam fida'e Haidari ya Aliؓ Aliؓ Aliؓ