Jahan Roza-e-Paak Khair-ul-Wara Hai Woh Jannat Nahi Hai ' To Phir Aur Kya Hai
Jahan Roza-e-Paak Khair-ul-Wara Hai Woh Jannat Nahi Hai ' To Phir Aur Kya Hai
Jahan roza-e-paak Khair-ul-wara hai woh jannat nahi hai ' to phir aur kya hai
Kahan main kahan ye Madinay ki galiyan ye qismat nahi hai to phir aur kya hai
Muhammad ﷺ ki azmat ko kya poochhte ho ke woh sahib-e-Qaab Qosain thehre
Bashar ki sar-e-arsh mehman nawazi ' ye azmat nahi hai to phir aur kya hai
Jo aasi ko kamli mein apni chhupale ' jo dushman ko bhi zakham kha kar duaa de
Use aur kya naam de ga zamana woh rehmat nahi hai to phir aur kya hai
Shafaat qayamat ki tabe nahi hai ' ye chashma to roz azal se hai jaari
Khata kar bandon pe lutf musalsal shafaat nahi hai to phir aur kya hai
Qayamat ka ek din hai muayyan lekin hamare liye har nafas hai qayamat
Madinay se hum jaan nisaron ki duri qayamat nahi hai ' to phir aur kya hai
Tum Iqbal ye naat keh to rahe ho magar ye bhi socha ke kya kar kar rahe ho
Kahan tum kahan madh mamdooh-e-Yazdan ' ye jurrat nahi hai to phir aur kya hai